Tuesday, January 31, 2012

Sitaron Se Age Jahan Aur Bhi Hain

Sitaron se age jahan aur bhi hain
Abhi ishq k imtihan aur bhi hain

Tabhi zindagi se nahin ye fazayen
Yahan saikaron karawan aur bhi hain

Kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain

Agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain

Tu shahin hai parwaz hai kam tera
Tere samne asman aur bhi hain

Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
K tere zamin-o-makan aur bhi hain

Gae din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere razadan aur bhi hain

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB