Showing posts with label Facts SMS. Show all posts
Showing posts with label Facts SMS. Show all posts

Saturday, February 11, 2012

"Teri Yaad Mein Baith Kar Kia Ajab Likh Raha Hoon"

Teri Yaad Mein Baith Kar Kia Ajab Likh Raha Hoon
Tery Hussan-o-Jamal Pe Ek Manzil Likh Raha Hoon
Ye Zulfain Jesy Sawan Ki Ghata Hain
Teri Zulfon Ko Main Chandani Raat Likh Raha Hoon
Chaand Se Chehry Par Sitaron Jesi Chamakti Aankhein
Tery Til Ko Hussan Ka Pehry Daar Likh Raha Hoon
Rukhsaar Hain Tery Jaisy Gulaab Bikhry Hain
Tery Honton Ko Kali Bahaar Likh Raha Hoon
Ye Muskurana Aur Muskura Kar Dekhna Tera
Kamaan Se Nikla Hua Teer Be-Awaz Likh Raha Hoon
Tu Bol Uthey To Har Lafz Se Khushboo Aye
Teri Har Baat Ko Sanad-e-Dildaar Likh Raha Hoon
Tery Hussan Ki Kia Tareef Karoon Main Bayan?
Tujhe Tohfa-e-Qudrat Ka La Jawab Likh Raha Hoon
Laakhon Hain Magar Humsa Nahi Zamany Mein Talabgaar
Tujhe Apna Bananey Ki Dua Khuda Se Bar Bar Likh Raha Hoon

Agar Tery Bina Jeena Itna Aasan Hota "Bewafa"

Agar Tery Bina Jeena Itna Aasan Hota "Bewafa"
To Qasam Hai Mohabbat Ki Tujhe Yaad Karna Bhi Gunah Samajhty

Monday, February 6, 2012

" Wo To Aisa Tha K Ek Aansoo Girney Ki Bhi Waja Pucha Karta Tha "

Wo To Aisa Tha K Ek Aansoo Girney Ki Bhi Waja Pucha Karta Tha
Par Najany Kiun Ab Usey Barsat Ki Bhi Parwah Nahi
 

Wednesday, February 1, 2012

" Mohabbat Bech Dali Hain "

Main Ne Apny Maazi Ki Sub Yaadein Bech Dali Hain
Nafratein Kharid Kar Mohabbatein Bech Dali Hain
Na Guzro Ban Sanwar Kar Mery Samney Se Tum
K Hasrat Se Jo Takti Thein Wo Aankhein Bech Dali Hain
Mujhe Awaz Deny Se Pehly Bus Itna Soch Lena Tum
K Mojon Se Jo Larti Then Wo Kashtian Bech Dali Hain
Andhera Dekh Kar Q Heraan Ho Rahy Ho Tum?
K Raaton Ko Jo Jalti Then Wo Shamein Bech Dali Hain......!!!

Wednesday, January 25, 2012

" Jab Wo Kabhi Apni Zaat Mein Tanha Hogi To Yaad Aonga "

 

Jab Wo Kabhi Apni Zaat Mein Tanha Hogi To Yaad Aonga
Na Chala Qadam Se Qadam Koi Saath To Yaad Aonga
Main Uski Aankhon Ka Ishara Bhi Samajh Leta Tha
Na Samjh Saka Koi Dil Ki Baat To Yaad Aonga
Din Ka Har Ek Pal Guzrey Ga Jab Us Pe Kathan
Aur Tanha Katy Gi Raat To Yaad Aonga
Har Baazi Jaan Boojh Kar Us Se Haar Jata Tha
Jab De Ga Koi Usey Haar To Yaad Aonga
Hansney Ko To Dunya Bhi Hansti Hai Saath Saath
Na Roya Koi Dukh Mein Saath To Yaad Aonga

Sunday, January 22, 2012

Smiling And Reduce The Population

On Your Smile Thousand Of People Die

So Keep Smiling And Reduce The Population

But Don’t Smile In Frnt Of Mirror

Wrna Lene
K Daine Par Jayenge.
 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB