Showing posts with label Ahmed Faraz Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ahmed Faraz Poetry. Show all posts

Friday, January 27, 2012

Us Ne Sukuut-E-Shab Main Bhii Apanaa Payaam Rakh Diyaa

Us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa,
Hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa,

Aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii,
Main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa,

Dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain,
Main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa,

Us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe,
Main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa,

Shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii,
Us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya,

Aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe,
Ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa...

Zakhm Ko Phul To Sar Sar Ko Saba Kahte Hain

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain,
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain,

Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale,
Ab wahi log hamain abalapa kahte hain,

Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub,
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain,

Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri,
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain,

Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain,
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain,

Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz',
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain...

Ye Kya K Sab Se Bayan Dil Ki Halaten Karni

Ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni,
'FARAZ' tujh ko na ain muhabbaten karani,

Ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain,
Shumar abhi se judai ki sa'aten karani,

Koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen,
Tamam umr usi ki ibadaten karni,

Sab apne apne qarine se muntazir us k,
Kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani,

Ham apne dil se hain majabur aur logon ko,
Zara si bat pe barpa qayamaten karani,

Milen jab un se to mubaham si guftagu karna,
Phir apne ap se sau-sau vazahaten karani,

Ye log kaise magar dushmani nibhaten hain,
Hamin ko ras na ain muhabbaten karani,

Kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena,
Kabhi talash purani raqabaten karani...

Us Ko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua

Us ko juda hue bhi zamana bahut hua,
Ab kya kahen ye qissa purana bahut hua,

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq,
Ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua,

Ham khuld se nikal to gaye hain par ai khuda,
Itne se vaqaye ka fasana bahut hua,

Ab ham hain aur sare zamane ki dushmani,
Us se zara rabt barhana bahut hua,

Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den,
Is ashiqi main jan se jana bahut hua,

Ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka,
Mana k us se milna milana bahut hua,

Kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil,
Ai yad-e-yar tera thikana bahut hua,

Kahta tha nasehon se mere munh na aio,
Phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua,

Lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr,
Ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua...

Ye Meri Gazlen Ye Meri Nazmain Tamam Teri Hikayaten Hain

Ye meri gazlen ye meri nazmain tamam teri hikayaten hain,
Ye tazkary teri lutf k hain ye sher teri shikayaten hain,

Main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki s'aten hain,
Jo zindagi k naye safar main tujhe kisi roz yad ayen,

To ek ek harf ji uthega pahan k anfas ki qabayen,
Udas tanahaiyon k lamhon main nach uthengi ye apasarayen,

Mujhe teri dard k alava bhi aur dukh the, ye janta hun,
Hazar gam the jo zindagi ki talash main the, ye janta hun,

Mujhe khabar hai ki teri anchal main dard ki ret chanta hun,
Magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai,

Ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai,
Ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai,

Aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain,
Ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain jo kal mere the vo ab tere hain,

Jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain,
Wo tera shayar tera muganni vo jis ki baten ajib si thi,

Wo jis k andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin,
Wo jis k jine ki khvahishen bhi khud us k apne nasib si thin,

Na puch us ka ki vo divana bahut dinon ka ujar chuka hai,
Wo kohakan to nahin tha lekin kari chattanon se lar chuka hai,
Wo thak chuka hai aur us ka tesha usi k sehan main gar chuka hai...

Tere Hote Hue Mahfil Main Jalte Hain Chirag

Tere hote hue mahfil main jalte hain chirag,
Log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag,

Apni mahrumiyo pe sharminda hain,
Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag,

Bastiyan chand sitaro pe basane vale,
Kurra-e-arz bujhate jate hain chirag,

Kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain,
Jo zamane ki havaon se bachte hain chirag,

Aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz',
Raat to raat ham din ko jalate hain chirag...

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Beraham Hain Dosto

Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto,
Ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto,

Kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain,
Ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto,

Apne siva hamare na hone ka gam kise,
Apni talash main to ham hi ham hain dosto,

Kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha,
Kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto,

Is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo,
Ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto,

Sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai,
Duniya main aise log bahut kam hain dosto...

Sakut-E-Sham-E-Khizan Hai Qarib A Jao

Sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao,
Bara udas saman hai qarib a jao,

Na tum ko Khud pe bharosa na ham ko zom-e-wafa,
Na aitabar-e-jahan hai qarib a jao,

Rah-e-talab main kisi ko dhyan nahin,
Hujum-e-hamsafaran hai qarib a jao,

Jo dasht-e-ishq main bichren vo umr bhar na mile,
Yahan yahan dhuan hi dhuan hai qarib a jao,

Ye andhian hain to shahar-e-vafa ki Khair nahin,
Zamana khakfashan hai qarib a jao,

Faqih-e-shahar ki majalis nahin k dur raho,
Ye bazm-e-pir-e-magan hai qarib a jao,

'Faraz' dur k suraj garub samajhe gaye,
Ye daur-e-kamnazara hai qarib a jao...

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa,
a phir se mujhe choor ke jane ke liye aa,

pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to,
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa,

kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham,
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa,

kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh,
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa,

ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum,
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa,

ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain,
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye aa,

mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat,
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye aa,

jaise tujhe ate hain na anye ke bahane,
aise hi kisi roz na jane ke liye aa...

Kuch Muhtasibon K Khilwat Main Kuch Waiz K Ghar Jati Hai

Kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai,
Ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai,

Yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain,
Tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai,

Bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan,
Sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai,

Han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye,
Har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai,

Ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane,
Pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai,

Ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan,
Yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai...

Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyon Nahin Dete

Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyon nahin dete,
Bismil ho to qaatil ko duaa kyon nahin dete,

Wahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaan to nahin hai,
Mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyon nahin dete,

Ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaan hai,
Ai chaaraagaro dard barhaa kyon nahin dete,

Munsif ho agar tum to kab insaaf karoge,
Mujarim hai agar ham to sazaa kyon nahin dete,

Rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi,
Rahabar ho to manzil kaa pataa kyon nahin dete,

Kyaa bit gai ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par,
Yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyon nahin dete...

Karon Na Yad Agar Kis Tarah Bhulaon Use

Karon na yad agar kis tarah bhulaon use,
Ghazal bahana karon aur gungunaon use,

Wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind,
Main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use,

Ye log tazakare karate hain apne logon se,
Main kaise bat karon aur kahan se laon use,

Magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai,
Ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use,

Wahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan,
Tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use,

Jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'
Ajab nahin ki agar yad bhi na aon use...

Huii Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gayaa Phir Tuu

Huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu,
Kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu,

Bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se,
Jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu,

Merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon,
Teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu,

Main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii,
Main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu,

Hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai,
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu,

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa,
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu...

Faraz Ab Koi Sauda Koi Junun Bhi Nahin

'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin,
Magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin,

Lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila,
Magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin,

Meri zuban ki luknat se badguman na ho,
Jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin,

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai,
Tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin...

Ab Ka Rut Badli Tu Khusboo Ka Safar Dekhey Ga Kon

Dost Ban Kar Bhii Nahiin Saath Nibhane Wala

Dost ban kar bhii nahiin saath nibhane wala,
Wahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa,

Ab ise log samajhate hain giraftaar meraa,
SaKht nadiim hai mujhe daam main laanevaalaa,

Kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se,
Wo jo ik shaKhs hai monh pher ke jaanevaalaa,

Tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa,
Aaj tanhaa hon to koii nahiin aanevaalaa,

Muntazir kis kaa hon TuuTii huii dahaliiz pe main,
Kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaalaa,

Main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalate,
Hai koii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa,

Kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itanaa,
Hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa,

Tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
Dost hotaa nahiin har haath milaanevaalaa...

Chere Main Ne Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Qisse

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse,
gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa,

gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye,
gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa,

main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main,
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa,

barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir,
sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide,

main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki,
main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside,

ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash,
is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de,

lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye,
aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe,

yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband,
nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe,

is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main,
kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe,

main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar,
qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di,

gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule,
gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di,

jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa,
wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di,

aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaai,
ab fan meraa darbaar ki jagir nahin hai,

ab meraa hunar hai mere jamahuur ki daulat,
ab meraa junon kaif-e-taazir nahin hai,

ab dil pe jo guzaregi be-Tok kahongaa,
ab mere qalam main koi zanjir nahin hai...

Us ne pyar ka kheiL.....Ghazal SMS

Us ne pyar ka kheiL ßhi nafrat se kheLa,

Har ßaar wo zaLim meri hasrat se kheLa,

Meri jaan-o-diL pe saara haq tha usay,

Dukh itna hai k wo meri ghurßat se kheLa,

DiL torra to ßikharney ßhi na dia us ne,

Merey diL k saath kitni uLfat se kheLa,

Kesay us k hathon mein ßrßaad na hota
"FARAZ",

PehLi ßaar zindgi mein koi itni mohaßat se kheLa.!

^ My Dairy Page ^

Barason Ke Baad Dekhaa Ik Shakhs Dilrubaa Sa

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa,
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa,

abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si,
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa,

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main,
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa,

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki,
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa,

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main,
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa,

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din,
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa,

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye,
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa,

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the,
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa,

ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi,
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa,

tevar the berukhi ke andaaz dosti ke,
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa,

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit,
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa,

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan,
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa...

Us Gali Mein Faraz

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB