Showing posts with label Friday SMS. Show all posts
Showing posts with label Friday SMS. Show all posts

Wednesday, February 1, 2012

Allah Insaan Sey Fermata Hey

Allah Insaan Sey Fermata Hey

Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na Hoon To Kehna

Meari Rah Main Chal K To Dekh
Rahain Na Khool Doo To Kehna

Mujh Sey Sawal Ker K Dekh
Bakhshish Ki Had Na Ker Doon To Kehna

Meray Liye Beyqader Ho K To Dekh
Qader Ki Had Na Ker Doon To Kehna

Meray Liye Lut K To Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon To Kehna

Meray Liye Bik K To Dekh
Anmool Na Ker Doo To Kehna

Mujhey Rab Maan K To Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoo To Kehna

Meray Khuaf Sey Ansoo To Baha K To Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo To Kehna

Wafa Ki Laaj Nibha K To Dekh
Ata Ki Had Na Kerdoon To Kehna

Meray Naam Ki Tazem Ker K To Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Do To Kehna

Apni Hasti Ko Fana Ker K To Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraze Na Kerdoo To Kehna

Mujhey Haieyolkaieyoom Man K To Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon To Kehna

Mera Ho K To Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon To Kehn

Juma Mubrak Friday SMS

Hazrat Abu Hurera (R-A) rayat karte hain ke Rasool-E-Pak
(S-A-W-W) ne ek martaba Jume ke din irshad farmaya,
Musilmano, Allah Pak ne iss din ko tumhare liye Eid ka din banaya hai, Lihaza iss din ghusal kya karo aur miswag ka ithmam kya karo.
(Juma Mubrak)
 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB