Tuesday, January 31, 2012

Ata Hai Yad Mujhko Guzara Hua Zamana

Aata hai yad mujhko guzara hua zamana
Woh bag ki baharen wo sab ka chah-chahana

Azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
Apni khushi se ana apni khushi se jana

Lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
Shabnam k anson par kaliyon ka muskurana

Woh pyari pyari surat, wo kamini si murat
Abad jis k dam se tha mera ashiyana

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB