Friday, January 27, 2012

Huii Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gayaa Phir Tuu

Huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu,
Kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu,

Bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se,
Jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu,

Merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon,
Teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu,

Main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii,
Main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu,

Hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai,
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu,

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa,
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu...

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB