Friday, January 27, 2012

Kuch Muhtasibon K Khilwat Main Kuch Waiz K Ghar Jati Hai

Kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai,
Ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai,

Yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain,
Tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai,

Bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan,
Sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai,

Han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye,
Har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai,

Ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane,
Pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai,

Ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan,
Yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai...

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB