Friday, January 27, 2012

Sakut-E-Sham-E-Khizan Hai Qarib A Jao

Sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao,
Bara udas saman hai qarib a jao,

Na tum ko Khud pe bharosa na ham ko zom-e-wafa,
Na aitabar-e-jahan hai qarib a jao,

Rah-e-talab main kisi ko dhyan nahin,
Hujum-e-hamsafaran hai qarib a jao,

Jo dasht-e-ishq main bichren vo umr bhar na mile,
Yahan yahan dhuan hi dhuan hai qarib a jao,

Ye andhian hain to shahar-e-vafa ki Khair nahin,
Zamana khakfashan hai qarib a jao,

Faqih-e-shahar ki majalis nahin k dur raho,
Ye bazm-e-pir-e-magan hai qarib a jao,

'Faraz' dur k suraj garub samajhe gaye,
Ye daur-e-kamnazara hai qarib a jao...

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB