Friday, January 27, 2012

Zakhm Ko Phul To Sar Sar Ko Saba Kahte Hain

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain,
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain,

Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale,
Ab wahi log hamain abalapa kahte hain,

Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub,
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain,

Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri,
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain,

Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain,
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain,

Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz',
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain...

1 comments:

Unknown said...

hello ji

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB