Saturday, January 28, 2012

Samandar main utarta hoon to ankhain bheeg jati hain


Samandar main utarta hoon to ankhain bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hoon to ankhain bheeg jati hain


Tumhara naam lene ki ijazat chin gayee jab se
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhain bheeg jati hain


yadon ki khushbu khirkion main raqs karti hain
In main sulagta hoon to ankhain bheeg jati hain


Hans kar jheel leta hoon judai ki sabhi rasmain gele
jab galay us ke lagat hoon to ankhain bheeg jati hain


Jane is qadar ho gaya hassa main kab se
Kisi se baat karta hoon to ankhain bheeg jati hain


Woh sab guzray hoye lamhat mujhye yaad atye hain
Tumharye khat ko parhta hoon to ankhain bheeg jati hain


Main sara din buhut masroof rehta hoon
magar joonhi Qadam chokat pe rakhta hoon to ankhain bheeg jati hain


Tere koochay se ab mera talluq wajbi sa hai
Mgar jab bhi guzarta hoon to ankhain bheeg jati hain


Hazaron mosamon ki hukmrani hai mere dil par
Main jab bhi hansta hoon to ankhain bheeg jati hain

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB