Friday, January 27, 2012

Us Ko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua

Us ko juda hue bhi zamana bahut hua,
Ab kya kahen ye qissa purana bahut hua,

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq,
Ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua,

Ham khuld se nikal to gaye hain par ai khuda,
Itne se vaqaye ka fasana bahut hua,

Ab ham hain aur sare zamane ki dushmani,
Us se zara rabt barhana bahut hua,

Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den,
Is ashiqi main jan se jana bahut hua,

Ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka,
Mana k us se milna milana bahut hua,

Kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil,
Ai yad-e-yar tera thikana bahut hua,

Kahta tha nasehon se mere munh na aio,
Phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua,

Lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr,
Ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua...

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB