Friday, January 27, 2012

Ye Meri Gazlen Ye Meri Nazmain Tamam Teri Hikayaten Hain

Ye meri gazlen ye meri nazmain tamam teri hikayaten hain,
Ye tazkary teri lutf k hain ye sher teri shikayaten hain,

Main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki s'aten hain,
Jo zindagi k naye safar main tujhe kisi roz yad ayen,

To ek ek harf ji uthega pahan k anfas ki qabayen,
Udas tanahaiyon k lamhon main nach uthengi ye apasarayen,

Mujhe teri dard k alava bhi aur dukh the, ye janta hun,
Hazar gam the jo zindagi ki talash main the, ye janta hun,

Mujhe khabar hai ki teri anchal main dard ki ret chanta hun,
Magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai,

Ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai,
Ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai,

Aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain,
Ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain jo kal mere the vo ab tere hain,

Jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain,
Wo tera shayar tera muganni vo jis ki baten ajib si thi,

Wo jis k andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin,
Wo jis k jine ki khvahishen bhi khud us k apne nasib si thin,

Na puch us ka ki vo divana bahut dinon ka ujar chuka hai,
Wo kohakan to nahin tha lekin kari chattanon se lar chuka hai,
Wo thak chuka hai aur us ka tesha usi k sehan main gar chuka hai...

0 comments:

Post a Comment

 

©2009 URDU SMS MARKAZ | by TNB